Tum hoti to aisa hota
21 09 2007Tum hoti to aisa hota
Tum hoti to aisa hota,
tum hoti to waisa hota
Tum is baat pe itna hasti,
tum uss baat pe itna khush hoti,
Tum is baat pe ye kehti,
tum uss baat pe wo kahati
shukar hai tum nahi ho!!!
Tere pyaar ki roshni aisi hai ki
Tere pyaar ki roshni aisi hai ki
har taraf ujaala nazar aata hai
sochta hu ki ghar ki bijli katwa du
kambaqt bill bohat aata hai
Chiragon se andhere dur ho jaate
Chiragon se andhere dur ho jaate
To chand ki chahat humein na hoti
Agar kat sakti ye zindagi akele
To humein aapki zarurat nahin hoti
Phir chupke se yaad aa gaya koi,
Phir chupke se yaad aa gaya koi,
Meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,
Kaise uska shukria aada Karen,
Mujh naachiz ko “shayar“ bana gaya koi.
Zindagi mein naye log hardum milenge,
Zindagi mein naye log hardum milenge,
Kaheen jyada to kaheen kam milenge,
Aitbaar zara soch kar karna,
Mumkin nahin har jagah tumhein ‘HUM’ milenge
Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,
Karke mohabbat koi nahi bachega,
Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi…
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,
Yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse,
Bas is baat ki badi umeed hai aapse,
Khafa na hona agar hum khafa rehein aapse.
Unhe ye shikayat hai humse ki
Hum har kisi ko dekh kar muskurate hai
Nasamajh hai wo kya jaane
Hamein to har chehre mein wahi nazar ate hai
Comments : No Comments »
Categories : shayari
જય જય ગરવી ગુજરાત !
આપની યાદી
ઊંટ કહે: આ સભામાં, વાંકાં અંગવાળાં ભૂંડા;