aadami aadami ko kya dega
jo bhi dega vahi Khuda dega
mera qaatil hi mera munsib hai
kya mere haq main faisala dega
zindagi ko qarib se dekho
isaka chehara tumhain rula dega
hamase puchho dostii ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega
ishq kaa zahar pii liyaa “kash”
ab masiiha bhi kya dava dega